Paida huey toh dhool chad gayi chehre par
Dhool ki sugand say mitti ka ahsaas hua
Mitti haath may lekar jeb may rakhli
Soochte baad mein mehsoos karenge…
Thode aur bade honepar , jeb mein haath daala
Chalte thay ehsaas lekar, bharat ka naam roshan karenge…
Un dino ki baat alag thi
Voh zamana kuch aur tha
Baat karte jis jabaan mein, vohi rehti dil mein.
Maa ne jab jeb dekhi, chilla uthi mujh par
Mujhe chaata lagakar mitti haath mein rakhdi
“ kyu uthalata hai dhool ko roj apne saath?”
Usse kya maalum us mitti ka mahatva jo rakkhi thi meri haath
is mitti mein mera jivan hai maa, is mitti mein meri jaan hai,
bol pada mai apne bachpan mein, yay is desh ki maan hai…
pakadna chaha jab is mitti ko jor say, haath say nikalte rahi…
college mein pahonchte, sirf ek kankar raha haath mein
us kankar ko dhoondte jamaana gujar
videsh
us sugandh ko lekar lag
desh ki yaad aati jab usi haath ko soongleta
soochta vakt milnepar jaoonga kiss hal mein…
apne desh ki yaad mein us rayth kay kankar ko dhekha
magar vah haath say nikal kar ja bethi dimag mein
ab khali haath mein khujli thi us mitti kay ehsaas ki
ab apne desh jaoonga har haal mein.
No comments:
Post a Comment