Sunday, June 27, 2010

Aur Kya?

Zinda dilo ki dhandkan
Mujhemein sama jaye toh kya?
Mil jaye jab teeno
Zindagi simmat jaye toh kya?

Har chehre par say nakab uth gaye toh kya?
Un aasuoon ke boojh say
Dharati hil jaye toh kya

Zinda chale us mode par
Jahaan aasmaan mile toh kya?
Jahan ko, haath mein utha lekar
peeh gaye toh kya?

sab sapne hamare, apahij ban gaye toh kya?
chalte chalte woh ludak gaye toh kya?
phir uhtne ka hausala unme hai toh kya?
chalke phir meri jaan banane ka intazar hai toh kya?

Hamari zamanat ka raaz mil gaya toh kya?
Iqraar kare jo humse, hamari jaan nahin toh kya?
uska naam milte milte, jamaana badal gaya toh kya?
janta hai dil mera, tumhara nahin toh kya

No comments:

Post a Comment